WEHSHAT E DIL SY PARESHA'N HAIN CHIRAGHAN E KHAYAL.....
dil o dimagh khayalat ki aamaj gah jahan huma waqt khayalat ka hujom rehta hai...
Phir khayal tasawur ko janam dy deta hai....aur tasawur musawiri py ma'amor ho jata hai....

Khayal e sadgi haye tasawur naqsh herat hai
Pr e anqa py rang e rafta sy kheenchi hain tasveerain

Ma'adom moujod mehsos honay lgta hai...aur jb
Khayalat ki tb o tab hawi honay lgti hai tb hi tasawur tafakur mai dhal jata hai aur tafakur tadabur ko janam deta hai...

Nikalti hai tapish mai bismilo'n ki barq ki shokhi
Gharz ab tk khayal e grmi e raftar qatil hai

Khayalat ko lfzo'n ka perhan bakhshna apny aap mai aik numaya'n fun hai...
Lekin ....
Kabhi kabhi khayalat ki by rabti sy guftugo mehmil ho jaya krti hai, mafhom anqa ho jaya krta hai....

Zulf e khayal nazuk o izhar by qarar
Ya rab bayan shana kash e guftugo na ho ...

TO BE CONTINUED........
No comments:
Post a Comment