Saturday, 18 April 2015

NAQSH E LAHOUL LIKH AY KHAMA E HIZYAN TEHREER......
laf e danish ghalat o nafa ibadat malom ,
durd yak saghar e ghaflat hai cheh dunya wa cheh dee'n
Yani aamal o afaal ka daromadar niyato'n ki salamti py qaim hai,dunyawi muamlat mai danish mandi aur deenwi ibadat mai mansoba bandi cheh ma'ani darad ...
isi liye Ghalib tarjeehan ''ka'aba aik aur sahi , qibla numa aur sahi''....isi nazriyay k paish e nazer frmatay hain k ...
kyn na firdos mai dozakh ko mila lain ya rab
sair k wastay thori si faza aur sahi
dr asal dunya mai jan'nat o dozakh ka meezan ly kr chalna pul sirat py chalnay k barabar , wo pul jo bal sy bareek aur talwar sy taiz hai ....aur jb k insan nafs ki shehwat k muqabil jan'nat ko by hd arza'n tasawur krta hai ...
detay hain jan'nat hayat e dehar k badlay
nasha ba andaza e khumar nhi
aur phir yehi andaz e nazer unhay gunah o sawab k katehray sy kheench lata hai ...
dil guzer gah e may o saghar hi sahi
gr nafas jada sr e manzil e taqwa na hua
zamzam hi py choro mujhy kya tof e haram sy
aaloda may jama ahram bohat hai
phir isi ghalat fehmi mai insan khush fehmi ka chogha pehan leta hai ...
rehmat ager qabol karay kya baeid hai
sharmindagi sy uzar na krna gunah ka
hala'n k ...
sr paye kham py chahiye hungamay by khudi
rou soye qibla waqt e manajat chahiye
yani ba hasb e gardish e paimana e sifat
aarif humesha mast may e zat chahiye
...
behar hal ....
asad ullah kha'n tamam hua
ay daraigha wo rand e shahid baz
la jurum tor k aajiz qalam chand raha ....

No comments:

Post a Comment