NAQSH LAHOUL LIKH AY KHAMA E HIZYA'N TEHREER.....
Mirza Ghalib hazrat e insan k mazhabi rujhan aur nafs ba nam shetan k androni heejan ki kashmakash ko manzer e aam py lany ki jurrat rakhtay hain ,frmatay hain k....
Eima'n mujhy rokay hai tu kheenchay hai mujhy kufr
Ka'aba mere peechay hai kaleesa mere aagy
Awalan tu Ghalib insan ko taqdeer ka zandani qarar dety hain ...
Naqal krta hon osay nama e aamal mai sy
Kuch na kuch roz e azal tum ny likha hai tu sahi
Ghalib ghaliban insan ko apny aamal mai aajiz grdantay hain...
Hon munharif na kyn reh e rasm o sawab sy
Terha laga hai qat qalam sr navisht ko
Ba qol Ghalib ...suntay hain jo bahisht ki tareef sb durust ...lekin
Kya zuhad ko mano'n k na ho gr chay riyai
Padash e amal ki tama kham bohat hai
Ghalib k nazdeek riya sheeshay mai bal aa jany k mutaradif aur ghun lagy afaal sy mumasil hai ...
Isi liye Ghalib jannat ko aag lagany aur aatish e dozakh ko jalany ka mashwara detay hain...
Ta'at mai ta rahy na may o angbeen ki lag
Dozakh mai dal do koi ly kr bahisht ko

Ghalib khayal e husn sy husn e amal ka khayal nichorna janty hain....
TO BE CONTINUED........
No comments:
Post a Comment